Skip to content

Pyaaz Kachori — Jodhpur ki galiyon wala swaad, aapki rasoi me

12 October 2026

By Kaushalya Choudhary

Last updated:

Recipe: Kaushalya Choudhary

Bharawan: 3 pyaaz barik kate, 3 tbsp besan, saunf, dhaniya powder, patthar-pise lal mirch, haldi, amchur aur garam masala tel me 6–8 minute bhoon kar thanda karein. Parat: 2 cup maida + 4 tbsp mungfali tel ka moyan. Bhar kar dheemi aanch par 10–12 minute talein — 10 kachori.

Samagri

Vidhi

  1. Maida + namak + tel moyan, narm aata; 20 min rakhein.
  2. Tel me jeera-saunf-hing, adrak-hari mirch, pyaaz 4 min, besan + sukhe masale 3 min, amchur — thanda.
  3. Loi bel kar 1.5 tbsp bharawan, band karke halka dabayein.
  4. Tel dheema-medium; kachori 10–12 min, palatte rahein, sunehri.
  5. Hari chutney/imli chutney ke saath.

Time: 30 min · 40 min · 10 kachori.

Kaushalya ji ki tip

Kachori ko tel me daalte hi aanch dheemi — tabhi parat khilti hai. Saunf hi pyaaz kachori ki pehchaan hai, kam na karein.

Aksar poochhe jaane wale sawaal

Kachori phool nahi rahi?

Tel zyada garam ya loi patli; medium-dheema tel, moti parat.

Bharawan geela ho gaya?

Pyaaz ka paani sukhne tak bhoonein, besan paani soakhta hai.

Ek din pehle bana sakte hain?

Bharawan haan (fridge), kachori taazi talein.

Is lekh se jude products

Cart me daala ✓ — View cart